raunaq hi nahin us ki hum ruh-o-rawan bhi hain
lekin hamein duniya ki KHatir pe garan bhi hain
ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh
har gam hain taziren hum log jahan bhi hain
gulchin ko nahin shayad is raaz se aagahi
shabnam mein nahae gul shoalon ki zaban bhi hain
khate the qasam jin ke kirdar-o-amal ki hum
shamil saf-e-ada mein wo ham-nafasan bhi hain
sach kahte ho hum aise zarron ki haqiqat kya
ab kaun kahe tum se hum sang-e-giran bhi hain
Ghazal
Raunaq hi nahin uski hum ruh-o-rawan bhi hain
Akhtar lakhnvi