raunaq-e-kucha-o-bazar hain teri aankhen
log sauda hain KHaridar hain teri aankhen
kya yunhi jazib-o-dildar hain teri aankhen
KHaliq-e-husn ka shahkar hain teri aankhen
ye na hotin to kisi dil mein na tufan uThta
shauq-angez o fusun-kar hain teri aankhen
teri masumiyat-e-dil ka pata deti hain
teri mahbubi ka iqrar hain teri aankhen
jam-o-mina ki tarah KHud hi chhalak jati hain
kitni maKHmur hain sarshaar hain teri aankhen
un ki taqdis pe ho azmat-e-maryam bhi nisar
kaun kahta hai gunahgar hain teri aankhen
palken bojhal hain madhur nind ke mare lekin
jaane kya baat hai bedar hain teri aankhen
jaise sawan ki ghaTa TuT ke barse ai dost
aaj kuchh aise guhar-bar hain teri aankhen
mere mahbub-e-dil-awez bata de itna
mujh se kis shai ki talabgar hain teri aankhen
hasraten dil mein liye Dub raha hai 'dauran'
mauj-dar-mauj hain manjdhaar hain teri aankhen
Ghazal
Raunaq-e-kucha-o-bazar hain teri aankhen
Owais Ahmad Dauran