raunaq baDhegi ru-e-nashat-e-jamal ki
thoDi si gard Dal do is par malal ki
deti rahi fareb unhen bhi teri wafa
aaghaz mein bhi jin ko KHabar thi maal ki
ab is maqam par hai meri zindagi jahan
kaifiyyat ek si hai nashat o malal ki
allah-re jazb-e-did ki ahl-e-nigah se
KHud husn bhik mang raha hai jamal ki
dil phir bhi aa gaya gham-e-dauran ke pher mein
har-chand maslahat ne baDi dekh-bhaal ki
phulon ki dilkashi ho ki taron ki raushni
parchhaiyan hain sab mere husn-e-KHayal ki
Ghazal
Raunaq baDhegi ru-e-nashat-e-jamal ki
Naresh Kumar Shad