raston pe na baiTho ki hawa tang karegi
bichhDe hue logon ki sada tang karegi
aasab pe pahre na biTha subh-e-safar hai
TuTega badan aur qaba tang karegi
mat TuT ke chaho use aaghaz-e-safar mein
bichhDega to ek ek ada tang karegi
itna bhi use yaad na kar sham-e-ghariban
mahkegi faza bu-e-hina tang karegi
KHwabon ke jazire se nikalna hi paDega
jis samt gae bu-e-qaba tang karegi
pur-habs shabon mein abhi ninden nahin utrin
nind aai to phir baad-e-saba tang karegi
KHud-sar hai agar wo to marasim na baDhao
KHuddar agar ho to ana tang karegi
Ghazal
Raston pe na baiTho ki hawa tang karegi
Safdar Saleem Sial