rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai
raat ki aankhen jaan rahi hain kis ke pas kahani hai
aankh ne wahshat oDhi hai ya manzar mein hairani hai
dasht ne daman jhaD ke puchha ab kaisi virani hai
manzar hai khiDki ke andar ya hai khiDki se bahar
gardun ki girai hai ya KHak ne chadar tani hai
kaunde se lapke paDte hain chuTki bhar nilahaT se
taron mein manzar khulne se pahle ki hairani hai
sare sang-e-mil bhi manzil ho sakte hain bhed khula
hathon ki rekhaon mein har manzil ek nishani hai
aap kahen to tin zamane ek hi lahr mein bah niklen
aap kahen to sari baaton mein aisi aasani hai
roz-o-shab ke bandhan khol ke waqt ka dariya chal nikle
aap kahen to danai hai hum kah den nadani hai
raat ki chadar tah hone tak dhup ka jadu khulne tak
darwaze ke band kiwaDon se ek baat chhupani hai
jitne pul tak raqs karengi kirnen barf ki qashon par
kohsaron ke daman mein bhi tab tak ek kahani hai
Ghazal
Rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai
Ambarin Salahuddin