اردو हिंदी
Rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai | Shaahi Shayari
rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai

Ghazal

Rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai

M Kothiyavi Rahi

;

rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai
ye peD jo is rah mein sadiyon se khaDa hai

ghurbat ke andhere mein teri yaad ke jugnu
chamke hain to rahon ka safar aur baDha hai

duniya se alag ho ke guzarti hai jawani
haalan ki ye mumkin nahin purkhon se suna hai

chahat jo junun ke liye zanjir bani thi
aaj us ko bhi wahshat ne meri toD diya hai

yaro na abhi apne Thikanon ko sidhaaro
kuchh baat karo raat kaTe sard hawa hai

ek gham ka alaw hai jise gher ke sab log
baiThe hain ki 'rahi' ne naya git likha hai