rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi
sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
KHeme na koi mere musafir ke jalae
zaKHmi tha bahut panw masafat bhi bahut thi
sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon mein nami aankh ki mil jae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae
aur kuchh meri miTTi mein baghawat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi
wo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid
aur waqif-e-ahwal-e-adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin
ab tak ke tere sath pe hairat bhi bahut thi
KHush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri
hum logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi
Ghazal
Rasta bhi kaThin dhup mein shiddat bhi bahut thi
Parveen Shakir