rasm hi shahr-e-tamanna se wafa ki uTh jae
is tarah to na koi ahl-e-mohabbat ko satae
wadi-e-dil mein kai raaton se sannaTa hai
kash bijli hi tere abr-e-sitam se gir jae
apni zillat ki salib aap liye phirna hai
ye baDa bojh mohabbat ke siwa kaun uThae
bar-sar-e-jang hain anwar se zulmat ke dew
chand raaton ke andhere mein kahin Dub na jae
ye samajh lo ki rag-e-jaan mein hai zahrab-e-junun
jab nigah-e-karam-o-lutf se bhi dil dukh jae
dasht-e-ummid mein jalta hai mere KHun ka charagh
rah manzil ki kaho mere siwa kaun dikhae
barish-e-sang-e-malamat hai KHirad ka pathraw
apne sar se ho jise pyar mere sath na aae
Ghazal
Rasm hi shahr-e-tamanna se wafa ki uTh jae
Ehtisham Husain