rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho 
zaKHm-e-dil aur ho KHun-basta-e-shifa ho ki na ho 
hum jafakar-e-wafa hain hamein matlub nahin 
hasil zulf-e-siyahkar saza ho ki na ho 
rakh liya thoDa sa imkan-e-tamanna ne bharam 
dast sharminda rahe chahe ata ho ki na ho 
ho mere qatl mein qatil ki bhi marzi shamil 
shor-o-ghul KHub rahe aah-o-baqa ho ki na ho 
thi sitam-kari qismat ki wo shiddat hamdam 
tu bhi ranjida raha mujh se gila ho ki na ho 
ek ye bandish rahi anjam-e-wafa ko ko kar 
ahl-e-duniya pe meri rasm rawa ho ki na ho 
bas ye aashob mohabbat ki dawa hai 'baaligh' 
marg-e-asan ki tamanna ho qaza ho ki na ho
        Ghazal
Rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho
Irfan Ahmad mir

