اردو हिंदी
Rasm-e-mehr-o-wafa ki baat karen | Shaahi Shayari
rasm-e-mehr-o-wafa ki baat karen

Ghazal

Rasm-e-mehr-o-wafa ki baat karen

Sufi Tabassum

;

rasm-e-mehr-o-wafa ki baat karen
phir kisi dilruba ki baat karen

saKHt begana-e-hayat hai dil
aao us aashna ki baat karen

zulf o ruKHsar ke tasawwur mein
husn o naz-o-ada ki baat karen

gesuon ke fasane dohraen
apne baKHt-e-rasa ki baat karen

muddaa-e-wafa kise malum
dil-e-be-muddaa ki baat karen

kashti-e-dil ka naKHuda dil hai
kyun kisi naKHuda ki baat karen

bhul jaen jahan ke jaur-o-sitam
apni mehr-o-wafa ki baat karen

hum se aazurda hai tabassum-e-dost
isi husn-e-ada ki baat karen