اردو हिंदी
Rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo | Shaahi Shayari
rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo

Ghazal

Rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo

Sultan Rashk

;

rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo
dosti ke bab mein dil ka kaha mana karo

ek dhima sa tabassum rasm hi si ban gaya
dosto apne parae ko to pahchana karo

raushni ka qaht hai par fikr-e-farda kis liye
KHun ki tanwir se raushan siyah-KHana karo

chhoTi-moTi baat ho to jins-e-gham dete raho
jurm ho sangin to KHushiyon ka jurmana karo

rasm-e-shabbiri dawam-e-zist hai sultan-'rashk'
zist karni hai agar to sarfaroshana karo