اردو हिंदी
Rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jaan | Shaahi Shayari
rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jaan

Ghazal

Rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jaan

Sadique Naseem

;

rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jaan
jab bhi dil par chamak uTThe tere qadmon ke nishan

kaun guzra hai mahak ban ke dayar-e-dil se
itni gul-posh thin kab shahr-e-talab ki galiyan

teri taswir ke partaw nahin miTne pate
ek muddat se hai dil kargah-e-shisha-garan

aaj us moD pe hai shahr-e-tamanna aabaad
tera daman nigah-e-shauq ne chuma tha jahan

main tere dard ki kulfat ko kahan le aaya
mere hamrah dhaDakta hai dil-e-kaun-o-makan

itni maddham to nahin hai meri fariyaad ki lai
in salasil ki sada gunjegi zindan zindan

waqt aaega ki dohraenge KHud ahl-e-jafa
main ne jo git sunae hain sar-e-nok-e-sinan

mauj-dar-mauj ubharte hain tamanna ke sarab
meri tishna-dahni mein hain samundar pinhan

main wo ashkon ka bhikari hun sar-e-rah-e-wafa
jis ki Thokar mein raha marhala-e-sud-o-ziyan

main wo saudai-e-gul hun ki meri aankhon ne
sina-e-ghaar mein dekhi hain machalti kaliyan

gham ke lamhon ka tayyun kabhi socha to 'nasim'
ek ek pal se mujhe jhank rahi thin sadiyan