'rasa' ko dil mein rakhte hain 'rasa' ke jaanne wale
wafa ki qadar karte hain wafa ke jaanne wale
teri tegh-e-ada khinchte hi apni jaan jati hai
qaza se pahle marte hain qaza ke jaanne wale
bhari hain shoKHiyan lakhon teri nichi nigahon mein
hamin hain kuchh teri sharm-o-haya ke jaanne wale
meri fariyaad sun kar kuchh unhen parwa nahin hoti
niDar baiThe hain aah-e-na-rasa ke jaanne wale
'rasa' ko sab ne samjhaya magar samjha na kuchh zalim
hue majbur us mard-e-KHuda ke jaanne wale

Ghazal
Rasa ko dil mein rakhte hain rasa ke jaanne wale
Rasa Rampuri