اردو हिंदी
Raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai | Shaahi Shayari
raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai

Ghazal

Raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai

Darshan Singh

;

raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai
phir koi le ke bahaaron ka payam aaya hai

baada-KHwaran-e-fana baDh ke qadam lo us ke
le ke saghar mein jo sahba-e-dawam aaya hai

main ne sikha hai zamane se mohabbat karna
tera paigham-e-mohabbat mere kaam aaya hai

rahbar-e-jada-e-haq nur-e-KHuda hadi den
le ke KHaliq ka zamane mein payam aaya hai

teri manzil hai buland itni ki har sham-o-sahar
chand-suraj se tere dar ko salam aaya hai

ho gaya teri mohabbat mein giraftar to phir
taer-e-ruh bhala kab tah-e-dam aaya hai

KHud-ba-KHud jhuk gai peshani-e-arbab-e-KHudi
ishq ki rah mein aisa bhi maqam aaya hai

aasiyo shukr ki ja hai ki ba-faiz-e-KHaliq
hum gunahgaron ki baKHshish ka payam aaya hai

haram-o-dair ke logon ki KHushi kya kahna
banda-e-KHaliq-o-dil-dada-e-ram aaya hai

tishna-kaaman-e-nazara ko ye muzhda de do
be-naqab aaj koi phir sar-e-baam aaya hai

ho mubarak tumhein rindo ki ba-taid-e-KHuda
koi chhalkata hua shisha-o-jam aaya hai

jab kabhi gardish-e-dauran ne sataya hai bahut
tere rindon ki zaban par tera nam aaya hai

ahl-e-maghrib ko pila kar mai-e-irfan 'darshan'
phir se mashriq ki taraf arsh-maqam aaya hai