اردو हिंदी
Raqs-e-taus-e-tamanna nahin hone wala | Shaahi Shayari
raqs-e-taus-e-tamanna nahin hone wala

Ghazal

Raqs-e-taus-e-tamanna nahin hone wala

Sultan Akhtar

;

raqs-e-taus-e-tamanna nahin hone wala
ab yahan koi tamasha nahin hone wala

sarfaraaz-e-jahan hona hi nahin hai mujh ko
sahibo main sag-e-duniya nahin hone wala

khinch lo dast-e-talab band karo chashm-e-umid
wo tunuk-zarf kisi ka nahin hone wala

mujh ko hangama-e-duniya ne nawaza hai bahut
main to KHalwat mein bhi tanha nahin hone wala

phir bhi masruf hain hum us ki taraf-dari mein
jaante hain wo hamara nahin hone wala

ab bhi tabinda hain aaina-e-ayyam mein hum
aks apna kabhi dhundla nahin hone wala

raat bhar jashn-e-mulaqat munawwar hi sahi
subh-dam koi kisi ka nahin hone wala

yun to sab kuchh hai magar KHema-e-KHush-KHwabi mein
hum faqiron ka guzara nahin hone wala

koi mausam bhi ho shadab rahega 'aKHtar'
shajar-e-shauq fasurda nahin hone wala