اردو हिंदी
Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai | Shaahi Shayari
raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai

Ghazal

Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai

Ram Krishn Muztar

;

raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai
ye tum nazar mein ho ki gulistan nazar mein hai

ek raushni se aalam-e-dil jagmaga uTha
wo hain ki aaftab-e-daraKHshan nazar mein hai

ahl-e-junun se kijiye ab chaak-e-dil ki baat
daman nazar mein hai na gareban nazar mein hai

un ke karam se baDhne lage dil ke hausle
andaz-e-iltifat-e-farawan nazar mein hai

sau husn le ke aai hai duniya-e-arzu
aaraish-e-hayat ka saman nazar mein hai

baDhti hi ja rahi hain meri be-qarariyan
jab se kisi ki zulf-e-pareshan nazar mein hai

nazzara-e-jamal kiye der ho chuki
ab tak farogh-e-bazm-e-hasinan nazar mein hai

halqa bana ke nach rahi hain tajalliyan
kis mah-jabin ka chehra-e-taban nazar mein hai

shayad usi ke dam se hai qaem ummid-e-zist
ek jaan-faroz sham-e-farozan nazar mein hai

hum bhi nigah-e-dost se na-ashna nahin
har inqilab-e-gardish-e-dauran nazar mein hai

'muztar' ko apne baKHt-e-rasa par hai aaj naz
aaqa-'hasan' ki bazm-e-gul-afshan nazar mein hai