raqs-e-ilham kar raha hun
main jism-e-kalam kar raha hun
meri hai jo KHas apni miTTi
us KHas ko aam kar raha hun
ek mushkil saKHt aa paDi hai
ek subh ko sham kar raha hun
duniya se kaho zara sa Thahre
is waqt aaram kar raha hun
chup chap paDa hua hun ghar mein
aur shahr mein nam kar raha hun
miTTi ko palaT raha hun apni
puKHta ko KHam kar raha hun
kya kaam hai jaanna hai mujh ko
ek sirf ye kaam kar raha hun
be-rabti-e-jism-o-jaan fuzun-tar
tauhin-e-nizam kar raha hun
KHushbu-e-KHuda laga ke KHud par
mazhab ko haram kar raha hun
iman ne kuchh suni na meri
so kufr pe kaam kar raha hun
allah-miyan ke mashware se
tark-e-islam kar raha hun
ai zindabaad farhat-ehsas
main tujh ko salam kar raha hun
Ghazal
Raqs-e-ilham kar raha hun
Farhat Ehsas