raqabaton ki tarah se hum ne mohabbaten be-misal ki hain
magar KHamosh ab jo ho gae hain inayaten mah o sal ki hain
kahan se duniya ko aa gae hain ye taur us ke tariq us ke
muzahira sab gurez ka hai alamaten sab visal ki hain
nazar uThao to har taraf hai bahisht-e-husn-o-jamal lekin
kahan wo andaz us ka lahja shabahaten KHadd-o-KHal ki hain
nigar-e-fan hai ki mangti hai lahu se har-dam KHiraj apna
hamara kya sath de sakengi jo shohraten be-kamal ki hain
ye jhukti shaKHen sarakte sae mahakti KHushbu bahakte baadal
uTho inhen jawedan to kar len ki saaten ye visal ki hain
ye KHud-kalami ye be-niyazi ye shahr walon se dur rahna
amanaten 'azmi' yaqinan kisi gham-e-la-zawal ki hain
Ghazal
Raqabaton ki tarah se humne mohabbaten be-misal ki hain
Sheesh Mohammad Ismail Azmi