ranj se waqif KHushi se aashna hone na de
zindagi ko apne maqsad se juda hone na de
ishq jab tak tai na kar le manzilen isar ki
dard ki lazzat se dil ko aashna hone na de
aur jo kuchh ho hamein manzur hai yarab magar
aadmi ko aadmi ka aasra hone na de
dard-e-dil kahiye jise us ki to ye pahchan hai
bhul kar jo hath sine se juda hone na de
ishq jis dil mein jaDen apni jama le ek bar
umr-bhar naKHl-e-tamanna ko hara hone na de
naKHuda ki koshishen be-kar tadbiren abas
par jab manjdhaar se beDa KHuda hone na de
rah-e-hasti mein jo 'jafar' har qadam par moD hain
har kas-o-na-kas ko apna rahnuma hone na de

Ghazal
Ranj se waqif KHushi se aashna hone na de
Jafar Abbas Safvi