ranj-o-rahat wasl-o-furqat hosh-o-wahshat kya nahin
kaun kahta hai ki rahne ki jagah duniya nahin
ahl-e-gham tum ko mubarak ye fana aamadgi
lekin isar-e-mohabbat jaan de dena nahin
husn sar-ta-pa tamanna ishq sar-ta-sar ghurur
is ka andaza niyaz-o-naz se hota nahin
ek haalat par zamane mein na guzri ishq ki
dard ki duniya bhi ab wo dard ki duniya nahin
jis ke shoalon se thi kal tak garmi-e-bazm-e-hayat
aaj is KHakistar-e-dil se dhuan uThta nahin
main adam andar adam main hun jahan andar jahan
ek hi duniya ho meri ai 'firaq' aisa nahin
Ghazal
Ranj-o-rahat wasl-o-furqat hosh-o-wahshat kya nahin
Firaq Gorakhpuri