ranj kyun ai mah-e-kanan kijiye
chaliye shukr-e-chaak-daman kijiye
uzr-e-betabi ka saman kijiye
hosh be-hoshi pe qurban kijiye
aaj phir rakh kar bina-e-ashiyan
ji mein hai bijli ko mehman kijiye
be-niyaz-e-his hai meri be-KHudi
dard hi kab hai ki darman kijiye
qissa-e-dil likh chuke 'mani' bas ab
KHun ke aansu zeb-e-unwan kijiye
Ghazal
Ranj kyun ai mah-e-kanan kijiye
Mani Jayasi