اردو हिंदी
Ranj jo dida-e-namnak mein dekha gaya hai | Shaahi Shayari
ranj jo dida-e-namnak mein dekha gaya hai

Ghazal

Ranj jo dida-e-namnak mein dekha gaya hai

Ashfaq Nasir

;

ranj jo dida-e-namnak mein dekha gaya hai
ye faqat sina-e-sad-chaak mein dekha gaya hai

is se aage hai miyan muntziron ki basti
ek diya jalta hua taq mein dekha gaya hai

ai junun us ki kahani bhi sunaunga tujhe
ye jo paiwand mere chaak mein dekha gaya hai

yani ek aankh abhi DhunDhti phirti hai mujhe
yani ek tir meri tak mein dekha gaya hai

ek KHwahish ka mere dil mein utarna 'ashfaq'
ek sharara KHas-o-KHashak mein dekha gaya hai

hijr aur dasht mein jo shaKHs bhi Thahra 'ashfaq'
tajraba uDti hui KHak mein dekha gaya hai