ranj is ka nahin ki hum TuTe
ye to achchha hua bharam TuTe
ek halki si Thes lagte hi
jaise koi gilass hum TuTe
aai thi jis hisab se aandhi
is ko socho to peD kam TuTe
log choTen to pi gae lekin
dard karte hue raqam TuTe
aaine aaine rahe garche
saf-goi mein dam-ba-dam TuTe
shaeri ishq bhuk KHuddari
umr bhar hum to har qadam TuTe
bandh TuTa nadi ka kuchh aise
jis tarah se koi qasam TuTe
ek afwah thi sabhi rishte
TuTna tai tha aur hum TuTe
zindagi kanghiyon mein Dhaal hamein
teri zulfon ke pech-o-KHam TuTe
tujh pe marte hain zindagi ab bhi
jhuT likkhen to ye qalam TuTe
Ghazal
Ranj is ka nahin ki hum TuTe
Suryabhanu Gupt