ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai
subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai
us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada
jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai
said to kya ki said-kar KHud bhi nahin ye jaanta
dana bhi ranj hai yahan yani ki dam ranj hai
mani-e-jawedan-e-jaan kuchh bhi nahin magar ziyan
sare kalim hain zubun sara kalam ranj hai
baba alif meri numud ranj hai aap ke ba-qaul
kya mera nam bhi hai ranj han tera nam ranj hai
kasa gadagari ka hai naf-piyala yar ka
bhuk hai wo badan tamam wasl tamam ranj hai
jit ke koi aae tab haar ke koi aae tab
jauhar-e-tegh sharm hai aur niyam ranj hai
dil ne paDha sabaq tamam bud to hai qalaq tamam
han mera nam ranj hai han tera nam ranj hai
paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar
laghzish-e-gam ranj hai husn-e-KHiram ranj hai
baba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile
jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai
aan pe ho madar kya bud ke rozgar ka
dam hama-dam hai dun ye dam wahm-e-dawam ranj hai
razm hai KHun ka hazar koi bahae ya bahe
rustam o zal hain malal yani ki sam ranj hai
Ghazal
Ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai
Jaun Eliya