ranj-e-na-asudgi karb-e-hunar dekhega kaun
naqsh-e-faryaadi hai kis ka dida-war dekhega kaun
jumbish-e-lab hi se khul jaega mani ka bharam
us ke harf-na-shanida ka asar dekhega kaun
apni duniya tak rakho mahdud parwazen abhi
nilgun pahnaiyon mein baal-o-par dekhega kaun
apne kamre ka koi gul-dan KHali kyun rahe
phul kaghaz ke saja lo sungh kar dekhega kaun
ek khilauna toD kar chalti bani pagal hawa
ab ye reza reza paikar joD kar dekhega kaun
kitni tahzibon ka madfan hai hamari zindagi
jagmagae shahr mein lekin khanDar dekhega kaun
Ghazal
Ranj-e-na-asudgi karb-e-hunar dekhega kaun
Bakhtiyar Ziya

