ranj-e-firaq-e-yar mein ruswa nahin hua
itna main chup hua ki tamasha nahin hua
aisa safar hai jis mein koi ham-safar nahin
rasta hai is tarah ka jo dekha nahin hua
mushkil hua hai rahna hamein is dayar mein
barson yahan rahe hain ye apna nahin hua
wo kaam shah-e-shahr se ya shahr se hua
jo kaam bhi hua hai wo achchha nahin hua
milna tha ek bar use phir kahin 'munir'
aisa mein chahta tha par aisa nahin hua
Ghazal
Ranj-e-firaq-e-yar mein ruswa nahin hua
Muneer Niyazi