ranj-e-duniya fikr-e-uqba jaane kya kya dil mein hai
zindagi do din ki apni saikDon mushkil mein hai
rah-e-ulfat mein bahut kuchh KHak bhi chhani magar
meri jaanib se ghubar ab tak kisi ke dil mein hai
wo jafa-pesha jafa-ju hai jafa us ki sarisht
jis ko kahte hain wafa wo mere aab-o-gil mein hai
tah-nashin ho kar mili mauj-e-hawadis se najat
kashti-e-umr-e-rawan ab daman-e-sahil mein hai
saKHt-jaani se meri pala agar paDta use
dekhta phir zor kitna bazu-e-qatil mein hai
apni apni ga rahe hain donon shaiKH-o-barahman
dair-o-kaba mein kahan hai jo harim-e-dil mein hai
marhale har rose insan ko nae aate hain pesh
aaj us manzil mein hai kal dusri manzil mein hai
kuchh to pas-e-husn kuchh un ki nazar ka samna
wo zaban par la nahin sakta jo mere dil mein hai
jaanta hun go maal-e-hazrat-e-adam magar
ku-e-jaanan ki tamanna phir bhi mere dil mein hai
dekhiye aaina-e-piri mein phir bachpan ka haal
ahd-e-mazi ki jhalak kuchh ahd-e-mustaqbil mein hai
soch kar fariyaad ka anjam main KHamosh hun
warna ab bhi quwwat-e-fariyaad mere dil mein hai
hai shikast-e-be-sutun mear-e-istedad-e-ishq
kohkan ka nam fard-e-jauhar-e-qabil mein hai
ishq-e-majnun ne kuchh uncha kar diya meyar-e-husn
warna laila ki haqiqat parda-e-mahmil mein hai
koi hai saghar-ba-kaf koi surahi-dar-baghal
tishna-kaam ab tak magar 'shoala' teri mahfil mein hai
Ghazal
Ranj-e-duniya fikr-e-uqba jaane kya kya dil mein hai
Shola Kararvi

