rangin KHwab aas ke naqshe jala bhi de
jaan pe bani hai raushni is ko bujha bhi de
namus-e-zabt bojh hai kab tak liye phirun
sari umiden chhin ke mujh ko rula bhi de
pahuncha hai kis ki khoj mein hadd-e-zawal tak
gum ho gaya hai kaun tu us ka pata bhi de
bechaargi ki raat ke ghaar-e-siyah se
qaid-e-sukut toD ke koi sada bhi de
har aaine pe waqt ki ungli ke dagh hain
miT jo saken ye dagh to in ko miTa bhi de
is dasht-e-be-giyah mein majbur hun khaDa
manzil ka kuchh nishan de rasta bata bhi de
jis pe ruton ke hath ki tahrir hai likhi
'fikri' wo apne jism ki diwar Dha bhi de
Ghazal
Rangin KHwab aas ke naqshe jala bhi de
Parkash Fikri

