rangat ye ruKH ki aur ye aalam naqab ka
daman mein koi phul liye hai gulab ka
chaaron taraf se us pe nigahon ka bar hai
mushkil hai un ko ruKH se uThana naqab ka
taskin-e-KHak dete hain rakh kar jigar pe hath
pahlu badal rahe hain mere iztirab ka
muddat hui wahi hai zamane ka inqilab
naqsha khincha hua hai mere iztirab ka
bachpan kahan tak un ki umangon ko rokta
aaKHir ko rang phuT hi nikla shabab ka
rona KHushi ka roti hai bulbul bahaar mein
chhiDkaw ho raha hai chaman mein gulab ka
jhalki dikha ke aur wo bijli gira gae
achchha kiya ilaj mere iztirab ka
KHak-e-chaman pe shabnam o gul ka ajab hai rang
saghar kisi se chhuT paDa hai sharab ka
khoe hue hain shahid o mani ki dhun mein hum
ye bhi 'jalil' ek junun hai shabab ka
Ghazal
Rangat ye ruKH ki aur ye aalam naqab ka
Jaleel Manikpuri