rangat use pasand hai ai nastaran safed
pahne na kyun wo rashk-e-chaman pairahan safed
bhata hai us ko shir-o-shakar ka talazma
rakhta hai apne dant wo shirin-dahan safed
baiThe hain gird simtanan-e-safed-posh
us mahtab ki hai tamam anjuman safed
hai be-hina bhi panja-e-nazuk par ek bahaar
hote hain baz baz gul-e-narawan safed
main rang-e-chashm-e-wahshi-e-jaanan se tang hun
aadha hiran siyah hai aadha hiran safed
rangini-e-libas se ahl-e-fana ko kya
hai ibtida-e-dahr se raKHt-e-kafan safed

Ghazal
Rangat use pasand hai ai nastaran safed
Syed Agha Ali Mehr