اردو हिंदी
Rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka | Shaahi Shayari
rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka

Ghazal

Rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka

Hanson Rehani

;

rang ye hai ab hamare ishq ki tasir ka
husn aaina bana hai dard ki taswir ka

ek arsa ho gaya farhad ko guzre hue
aao phir taza karen afsana ju-e-shir ka

gulsitan ka zarra zarra jag uThe andalib
lutf hai is waqt tere nala-e-shab-gir ka

lijiye ai shaiKH pahle apne iman ki KHabar
dijiye phir shauq se fatwa meri takfir ka

KHwab-e-hasti ko samajhne ke liye bechain hun
e'tibar aata nahin mujh ko kisi tabir ka

jis ne di aaKHir ghurur-e-husn-e-yusuf ko shikast
allah allah hausla is dast-e-daman-gir ka

toD kar nikle qafas to gum thi rah-e-ashiyan
wo amal tadbir ka tha ye amal taqdir ka

go zamana ho gaya gulzar se nikle hue
hai mizaj ab tak wahi 'raihani' dil-gir ka