اردو हिंदी
Rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin | Shaahi Shayari
rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin

Ghazal

Rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin

Nushur Wahidi

;

rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin
teri ye bazm-e-ab-o-gil dil ka maqam bhi nahin

bas ki kahin na jag uThen soi hui qayamaten
ye to KHiram-e-hashr hai hashr-KHiram bhi nahin

meri namaz-e-kaif mein sajda kahan rukua kya
saqi-e-mast ki qasam hosh-e-imam bhi nahin

husn tamam guftugu ishq tamam KHamushi
raf-e-shukuk bhi nahin qat-e-kalam bhi nahin

mai se agar gurez hai sajda to KHum ko kijiye
baada haram ho to ho sajda haram bhi nahin