اردو हिंदी
Rang se pairahan-e-sada hinai ho jae | Shaahi Shayari
rang se pairahan-e-sada hinai ho jae

Ghazal

Rang se pairahan-e-sada hinai ho jae

Mirza Raza Barq

;

rang se pairahan-e-sada hinai ho jae
pahne zanjir jo chandi ki talai ho jae

KHud-faroshi ko jo tu nikle ba-shakl-e-yusuf
ai sanam teri KHaridar KHudai ho jae

KHat-e-toam ki tarah aashiq o mashuq hain ek
donon bekar hain jis waqt judai ho jae

tangi-e-gosha-e-uzlat hai bayan se bahar
nahin imkan ki chyunTi ki samai ho jae

yahi har uzw se aati hai sada furqat mein
waqt ye wo hai juda bhai se bhai ho jae

apni hi aag mein ai 'barq' jala jata hun
unsur-e-KHak ho turbat jo laDai ho jae