اردو हिंदी
Rang sare apne andar raftagan ke hain | Shaahi Shayari
rang sare apne andar raftagan ke hain

Ghazal

Rang sare apne andar raftagan ke hain

Aslam Mahmood

;

rang sare apne andar raftagan ke hain
hum ki barg-e-raegan naKHl-e-ziyan ke hain

shisha-e-umr-e-rawan se KHauf aata hai
aks is mein saat-e-kam-mehrban ke hain

hum ko kya la-hasili hi ishq mein gar hai
hum to KHugar yun bhi kar-e-raegan ke hain

tere kuche ki hawa puchhe hai ab hum se
nam kya hai kya nasab hai hum kahan ke hain

hum ko kya arz o sama ke sab KHazanon se
hum to aashiq ek ism-e-jawedan ke hain

mere partaw ne tilism-e-tirgi toDa
aur ab raushan manazir KHak-dan ke hain

hum ko kya mauj-e-fana se KHauf aaega
muntazir hum KHud zawal-e-rang-e-jaan ke hain

imtihan ye saKHtiyan ye gardishen 'aslam'
sab ishaare ek chashm-e-mehrban ke hain