rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha
shoalon ki zad mein phul hai aur jal nahin raha
wo dhup hai ki peD bhi jalne pe aa gaya
wo bhuk hai ki shaKH pe ab phal nahin raha
le aao meri aankh ki lau ke qarib use
tum se bujha charagh agar jal nahin raha
hum log ab zaman-o-zamana se dur hain
yani yahan pe waqt bhi ab chal nahin raha

Ghazal
Rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha
Mohammad Mustahsan Jami