rang mausam ke sath lae hain
ye parinde kahan se aae hain
baiTh jate hain rah-rau thak kar
kitne himmat-shikan ye sae hain
dhup apni zamin hai apni
peD apne nahin parae hain
apne ahbab ki KHushi ke liye
bila-irada bhi muskurae hain
dushmanon ko qarib se dekha
doston ke fareb khae hain
hum ne toDa hai zulmaton ka fusun
raushni ke bhi tir khae hain
dekh le muD kar mahw-e-araish
aaina ban ke hum bhi aae hain
pai-ba-pai rah ki shikaston ne
hausle aur bhi baDhae hain
zindagi hai usi ka nam 'ejaz'
hain wo apne jo gham parae hain
Ghazal
Rang mausam ke sath lae hain
Ejaz Rahmani