اردو हिंदी
Rang mausam ka hara tha pahle | Shaahi Shayari
rang mausam ka hara tha pahle

Ghazal

Rang mausam ka hara tha pahle

Rajesh Reddy

;

rang mausam ka hara tha pahle
peD ye kitna ghana tha pahle

main ne to baad mein toDa tha ise
aaina mujh pe hansa tha pahle

jo naya hai wo purana hoga
jo purana hai naya tha pahle

baad mein main ne bulandi ko chhua
apni nazron se gira tha pahle