rang laya mera be-barg-o-nawa ho jaana
itna aasan na tha us ka KHuda ho jaana
kaun aawaz baras ban ke raha mahmil-e-naz
kis ki qismat mein hai sahra ki sada ho jaana
hashr tak be-gunahi naz karegi mujh par
wo mera teri nigahon mein bura ho jaana
mujh pe wo waqt paDa hai ki shikayat kaisi
tujh ko lazim tha ba-har-haal KHafa ho jaana
meri taqdir pe tohmat hi uThai jati
tujh ko zeba na tha yun KHud se juda ho jaana
aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jaan tere huzur
sar se pa tak wo mera dast-e-dua ho jaana
'shaz' kanp uTThe mere tark-e-mohabbat ke qadam
wo kisi pursish-e-pinhan ka bala ho jaana

Ghazal
Rang laya mera be-barg-o-nawa ho jaana
Shaz Tamkanat