rang laya diwana-pan mera
si rahe hain wo pairahan mera
main nawed-e-bahaar laya tha
tazkira har chaman chaman mera
shabnam-e-fikr-o-gulsitan-e-suKHan
jagmagata hai phulban mera
lala-o-gul khile hain kanTon par
in mein uljha tha pairahan mera
ye bhi ab tak nahin hua malum
main sajan ka hun ya sajan mera
jo bhi hai sab teri inayat hai
jaan meri na ye badan mera
kya tujhe bhi KHayal aata hai
kabhi bhule se jaan-e-man mera
us ne dekha tha muskura ke kabhi
umr bhar dil raha magan mera
ai sharab-e-suKHan ke matwale
kuchh suKHan hi nahin hai fan mera
'wajd' kis ka watan kahan ka watan
wo jahan hain wahin watan mera
Ghazal
Rang laya diwana-pan mera
Sikandar Ali Wajd