rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri
jab KHud us ko na thi darkar shanasai meri
ye meri chiz hai so is ka bharosa hai mujhe
KHud mere kaam na aaegi masihai meri
us ne ek bar to jhanka bhi tha mujh mein lekin
us se dekhi na gai wusat-e-tanhai meri
tum ye kya soch ke guzri thi mere mazi se
tum ye kya soch ke shadabi uTha lai meri
bahar-e-payab samajh ke yahan utro na abhi
mera dil KHud bhi nahin jaanta gahrai meri
teri KHushbu teri tasir juda hai mujh se
teri miTTi se na ho paegi bharpai meri
Ghazal
Rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri
Rahul Jha