rang laegi iltija meri
sun hi lega kabhi KHuda meri
zabt-e-gham ko duaen deta hun
rah gai ghuT ke har sada meri
us ki banda-nawaziyan dekho
baKHsh deta hai har KHata meri
sunne walon ke dil taDap uTThe
saz-e-gham ban gai sada meri
wasl mumkin nahin visal sahi
ab to kuchh aur hai dua meri
be-sahaaron ka aasra tu hai
kaun sunta tere siwa meri
ye mashiyyat ke raaz hain 'shankar'
ibtida meri intiha meri

Ghazal
Rang laegi iltija meri
Shankar Lal Shankar