اردو हिंदी
Rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya | Shaahi Shayari
rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya

Ghazal

Rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya

Khalid Ghani

;

rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya

shelf par rakkhi kitaben sochti hain raat din
ghar se daftar ka safar kitna suhana ho gaya

kis qadar shohrat hai in hanste hue lamhat mein
aankh se guzra har ek manzar purana ho gaya

ab meri tanhai bhi mujh se baghawat kar gai
kal yahan jo kuchh hua tha sab fasana ho gaya

yaad aati jab kabhi ehsas ki nilam-pari
ghar ke kale dew ka qissa purana ho gaya