اردو हिंदी
Rang KHush-bu mein agar hal ho jae | Shaahi Shayari
rang KHush-bu mein agar hal ho jae

Ghazal

Rang KHush-bu mein agar hal ho jae

Parveen Shakir

;

rang KHush-bu mein agar hal ho jae
wasl ka KHwab mukammal ho jae

chand ka chuma hua surKH gulab
titari dekhe to pagal ho jae

main andheron ko ujalun aise
tirgi aankh ka kajal ho jae

dosh par barishen le ke ghumen
main hawa aur wo baadal ho jae

narm sabze pe zara jhuk ke chale
shabnami raat ka aanchal ho jae

umr bhar thame rahe KHush-bu ko
phul ka hath magar shal ho jae

chiDiya patton mein simaT kar soe
peD yun phaile ki jangal ho jae