rang kahte hain kahani meri
kis ki KHushbu thi jawani meri
koi pae to mujhe kya pae
khoe rahna hai nishani meri
koh se dasht mein le aai hai
dushman-e-jaan hai rawani meri
khil rahi hai pas-e-diwar zaman
KHwahish-e-naql-e-makani meri
sar-e-marqad hain sabhi saya-kusha
koi hasrat nahin fani meri
tapish-e-rang jhulas Dalegi
kya kare soKHta-jaani meri
naqsh tha main bhi gali taKHti ka
uD gai KHak-e-maani meri
kya suKHan-fahm nazar thi jis ne
baat koi bhi na mani meri
naqidon ne mujhe parkha 'KHalid'
KHak sahraon ne chhani meri
Ghazal
Rang kahte hain kahani meri
Khalid Ahmad

