rang kahan hai saya sa hai
naqsh kahan hai dhoka sa hai
subh ki rangat zardi-mail
sham nahin hai dhaDka sa hai
dil ka KHun hua ho shayad
dur pare jo kohra sa hai
sail-e-ishq thama kab hoga
dariya hai aur chaDhta sa hai
lab us ke jo khulte dekhe
ek jahan kuchh hansta sa hai
asl mein naqsh-e-kaif-e-hasti
fani sa hai miTta sa hai
husn aur ishq hain donon kafir
donon mein ek jhagDa sa hai
aao pyar se dho len us ko
naqsh-e-jahan kuchh maila sa hai
Ghazal
Rang kahan hai saya sa hai
Azeem Qureshi