rang kala hai na hai paikar siyah
aadmi dar-asl hai andar siyah
ab kahan qaus-e-quzah ke daere
ab hai ta-hadd-e-nazar manzar siyah
kitna kala ho gaya tha us ka dil
jism se nikla to tha KHanjar siyah
waqt ne sanwla diya sara badan
dhire dhire ho gaya marmar siyah
dhup kafi dur tak thi rah mein
lamha lamha ho gaya paikar siyah
Ghazal
Rang kala hai na hai paikar siyah
Ambar Shameem