rang-e-wahshat kam nahin zaKHm-e-tamasha kam nahin
zinda rahne ke liye aashob-e-duniya kam nahin
dekhna chahen to sahil par liye manzar bahut
Dubna chahen to koi mauj-e-dariya kam nahin
lauT kar wapas nahin aae parinde aaj bhi
hirs ke said-e-zabun ko baal-e-unqa kam nahin
waqt ki raftar ko nape hai aql-e-na-rasa
zarra-e-na-chiz bhi hangama-ara kam nahin
baal-o-par ke aazmane ko fazaen hain bahut
aasman ka dast-e-la-mahdud aisa kam nahin
zer-e-pa mujh ko kai TuTe hue KHanjar mile
shahr-e-na-pursan mein bhi mere shanasa kam nahin
is jahan KHair-o-shar se bad-guman kyun ho koi
bazu-e-qatil se 'nami' dast-e-isa kam nahin

Ghazal
Rang-e-wahshat kam nahin zaKHm-e-tamasha kam nahin
Nami Ansari