rang-e-taswir-e-jahan ko tera naqsha samjha
zarre zarre ko main ek husn-e-sarapa samjha
mahw-e-hairat jo tasawwur ne banaya mujh ko
apni taswir ko main tera sarapa samjha
be-KHud-e-jalwa kabhi aur kabhi hushiyar raha
kabhi mabud kabhi KHud ko main banda samjha
wa-e-ghaflat ki sarab-asa na jaana us ko
bhul itni hui duniya ko main duniya samjha
dida-e-tar ne uThae wo shab-e-gham tufan
jo gira aankh se qatra use dariya samjha

Ghazal
Rang-e-taswir-e-jahan ko tera naqsha samjha
Piyare Lal Raunaq Dehlwi