اردو हिंदी
Rang-e-nazar se husn-e-tamanna nikhaar ke | Shaahi Shayari
rang-e-nazar se husn-e-tamanna nikhaar ke

Ghazal

Rang-e-nazar se husn-e-tamanna nikhaar ke

Shaheen Siddiqui

;

rang-e-nazar se husn-e-tamanna nikhaar ke
baiThi hun aaj kakul-e-hasti sanwar ke

guzri hun main nafas ki kashakash se jis tarah
dhaaron se laD rahi thi kisi aabshaar ke

panw ke aablon se na puchho safar ka haal
qisse hain dardnak rah-e-KHar-zar ke

daur-e-KHizan gaya na gaya is se kya gharaz
manzar jama liye hain nazar mein bahaar ke

waqt-e-sahar hai garche ujala abhi nahin
ye jal rafta rafta khulenge KHumar ke

wo aa rahi hai dur se KHurshid ki kiran
'shahin' dar khule hain mere intizar ke