اردو हिंदी
Rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi | Shaahi Shayari
rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi

Ghazal

Rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi

Mahmood-ul-Hasan

;

rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi
kis ke aane se gulistan ki faza aur lagi

aaj mail hai wo ikram-o-inayat pe kya
kyun hamein kucha-e-jaanan ki hawa aur lagi

laDkhaDane pe kise raqs ka hota hai guman
fasl-e-gul aai to phir laghzish-e-pa aur lagi

dil dhaDakne ke hain aadab magar tere huzur
jaane kyun sine mein dhaDkan ki ada aur lagi

kis tarah kahta koi tujh ko sitamgar ai dost
sach to ye hai ki hamein teri jafa aur lagi